- Get link
- Other Apps
01 November say, Monetization ko on karne ke liye aur Creators ko Youtube Studio tak access layne k liye apne google account per 2step-verification ko activate karna hoga
Youtube partner program creators ko youtube k resources aur features tak direct access deta hai. Is article main hum mian topics ko cover-up krn gay .
Youtube partner program Join karne ka Criteria aur requirements
Youtube partner program ke liye apply karne say pehle aap ko kin batoon ka pta hona lazim hai
Creators ko aksar kia zaruri hota hai
Creator ko Support teams tak access
Copyright Match Tool tak access
Monetization ke features tak access
Youtube partner program ko Join karne ke liye Kya requirements hain
YouTube channel monetization ki policies ko follow krn.
YouTube policy. aap ko apnay youtube channel ko monetize karne ki ijazat deta hai.
Aap apnay channel ko monetize kar ke bahut se paise kama sakte hain.agar aap abhi start karne ka soch rahe hn to yaqeenan yeah aik good idea hai.
Aiyen Youtube ki monetization policy per nazar rakhthn h
Ap us country ke rehayeshi hoon jahn YouTube Partner Program available hai.
Ap k channel per koi active Community Guidelines strikes majood na ho.
12 Months main Watch Time 4,000 public hours say ziyada ho
subscribers bhi 1000 se zyada hone chahiye
Sirf aik AdSense ka account linked ho ap k Youtube channel k sath.
YouTube application checklist.
jo koi hamari threshold matlab had jo hum nay policies ki surat main samane rakhi hai se malta hay wo YPP ke liye darkhwast de sakta hay , laikin aap ko YouTube ke bare main kach hidayat haasil karne ki zaroorat hai .is checklist ka matalab hai kah aap ko text ke amal ke zaria hidayat ki jaye .
First ,make sure kah aapne google account ki 2-Step Verification ko on kr rakha ho ya abhi turned on kr layn . is ka matlb hai ap ko anay account ko protect krne k liye password k sath sath 2-Step Verification ko on karne ki zaroorat hai .yeh aap ke account ko protect krne k liye hain
Is baat ki yaqueen dahai krn kah aapka channel youtube ki policies aur guidelines,ko follow karta ho aur us par koi community guidelines strikes active na ho jab ap apply karte to aap k channel ko review kiya jata hai yeah check karne ke liye keh kia aap ka channel policies aur guidelines per pora utarta hai ya nahi .
jo Channel youtube requirements per pora utarta hai sirf us channel ko youtube partner program k liye accept kia jata hai phr youtube videos par chalne wale ads ka revenue channel ke owner ko forward kr diya jata hai . Youtube more than 51% revenue creators k sath share krta hai .
Yad rahe youtube constantly channel ko check krta hai youtube is baat ki yaqeen dahai krta hai kah ap policies aur guidelines ko follow kr rahe hain ya nahi. Youtube partner program ko join karne ke liye at least 1,000 Subscriber aur 4000 valid public watch hours ki zarurat hoti hai .Youtube partner program ke liye hamare channel ko context ki zarurst hoti hai .jab hum youtube ki policies aur guidelines ko pura karte hai to is ka mtlb hai humein mazeed context ki zarurat hai .yeh policies channel k liye helpful sabit hoti hain .ap ap requirements per pora utartay hain to aap YPP k liye apply kr saktay hain ya phr ap notified me k option ko use kar sakte hain ta kah apko notification bhaj diya jaye jab requirements ko complete krte hain
Youtube Partner Program ke liye kaise apply karna hai
Jab ap YPP ki tamam requirements ko poora karte hain to Aap Ko in steps ko follow karne ki zaroorat hai
YouTube per sign in krn
Upper right side per, apni profile per click krn aur phr YouTube Studio per.
Left side per , Monetization per click krn.
Mazeed Aap nichay diye gay address ko directly browser main search kar ke bhi monetization page tak access lay saktay hain ya abhi nichay diye gay url per click krn
https://studio.youtube.com/channel/UC/monetization
Agr ap abhi requirements ko pora nahi kr sake to ap Notify me per click krn matlab ap ap is ke liye eligible hoon to aap ko mail send ki jaye .jaise hi ap 1000 subscribers aur 4000 watch hours ko 12month ke under complete krte hn to ap YPP ke liye eligible hote hain .
Agr ap requirements ko pora krne main kamiyab hote hain to aap ko "Review Partner Program term" per click karna hai
Yad rahe ap k pass sirf aik AdSense account hona .apnay blog/ website ya youtube se paise kamane k liye aapko AdSense ke account ko connect karne ki zarurat hoti hai
Kia ap adsense ke account ke liye apply krna chahate hain agr haan to abhi “Sign up for Google AdSense” per click krn.
Agr ap ke pass phlay say hi AdSense ka account hai to aap ko us ka istemal main la saktay hain .aur google se paise kama sakte hn.
AdSense account per multiple youtube channel banane ki policy
AdSense ke single accounts per aik say ziada youtube channel links kar sakte ho ya aik say ziyada websites ya blogs ko link kar saktay hain .
Agr aap nay abhi tak nahi banaya to abhi bana saktay hain .Step by step instructions share kar di gai hai .
Reviewed ka procedure
Jab aap apne youtube channel ko AdSense account k sath link kete hain.to apka channel automatically youtube partner program k review section main chala jata hai. Review queue main aap k channel ko check kiya jata hain kah aapka channel,youtube ki terms & conditions , policies, aur community guidelines strike say ittefaq to nahi rakhta. Yahn per yeah bhi check kia jata hai ap kis had tak policies ko follow kr rahe hn . jab ap partner program ke liye apply krte hn to aap kisi bhi waqt application ka status check kar sakte hain,yeah bahot asaan hai simple nichay diye gay url per click karn . Monetization page url
https://studio.youtube.com/channel/UC/monetization .
Monetization agr accept hojaye to Ya Agr ap ke youtube channel ko youtube partner program ke liye sellect kiya jata hai to Congratulations! Aap ke channel per ads performance set up kar di gai hai aur monetization ko enable kr diya jata hai .is se aap k channel par chalne wale ads per aap ke sath revenue ko share kiya jata hai.
Ziyada tar pochay jane wale sawalaat jo new creators aksar puchte hain
aiyn unko dekhte hain .
YPP k liye apply krne ke bad Agr aapko rejection ka samna hote hai to ?: youtube per jab aap ke channel ko review kiya jata hai agr ap policies ya term & condition say par pora nahi utartay to definitely aap ko rejection ka samna karna par sakta hai. Is surat e haal main aap ko yeah haq hasil hai kah aap dubara 30 din ke bad apply kar sakte hain . .
application ko strong banane ke bare main kuch tips janane ke liye hamare swalat ki janch padtal karin .
YPP ko join karne se pehle aapko ye jaanane ki zaroorat hai
Review process : aprovel daynay ke liye sub say phly app ke channel ko review kiya jata hai. Usko aik queue say guzar jata hai ta kah jaan sakayn kah channel term & conditions aur policies say agreed karta hai ya nahi karte.
Subscribers and watch time apply krne say phlay zaroorat is cheez ki hai keh ap check karn keh aap k channel per 1000 plus subscriber aur 4000 public watch time available hai ya nahi. Ta approval layne main takhair ka samna na krna pare
Strikes : yad rahe apply krte waqt koi bhi strick majood na ho specially Community Guidelines strikes. Apply krne say phlay ap youtube ki community guidelines ko tawajh say read kr layn
Terms & conditions: YouTube Partner Program ko join karne ke liye terms & conditions ko agree krna bhi lazim hai . yad rahe term & condition ko hamesha achay say read krna chahiye . ta kah misused say bach sakayn
AdSense approval : Jab aap un tamal sharayt per poray utartay hain to aap ko AdSense account ka approval letter ya message jald hi masool ho jata hai jase hi aap apply karte hain.
Review ka procedure
Aprowel dayne say pehlay youtube team ki yahi koshish hoti hai kah wo channel ko achay say check krn , mukamal channel ka review krn. Channel main kisi kism ki kami ya kharabi hai to use aap ke sath share krn. Rejection ki surat main aap 30days ke bad phir say apply kar sakte hain. barhaal humain youtube ki update aur policies ko kabhi bhi nazar andaz nahi krna chahiye balkah humain unki policies aur update ko follow karte huye apne channel ko aglay level tak lay kar jana chahiye. yahi chez humain bahut jald grow karne ke qabil banati hai.
Aam pur per youtube ki requirements ko pora krne main 1month lagta hai. Jab aap apply karte hain to youtube aik fisale ke sath ap tak pahuchta hai. ya to aap ko approval mil jata hai ya phir kisi waja say nahi milta . waise dekha jaye to approval na milnay ke chancess bahit kam hote hain .
Please Note: Sometimes, aap ko 1 ya us say ziyada months ka intezar karne par sakta hai. Magr yeah bahit ki kam cases main hota hai. Is ki bahut si wajohat bhi ho sakti hai aur aik waja bhi . Kabhi applications ke volumes ki waja say yeah natayaj samne ate hain to kabhi system issue ki waja say . youtube policy apecialiats ki her mumkin koshish hoti hai kah applications ko jald say jald review kiya jaye magr kiyn kah humare pass limited specialists hain jis ki waja say takhair ka samna bhi krna par sakta hai .
Kya aap jaldi youtube partner program ka approval lay sakte hain yaa iss procedure ko speed up kar sakta hoon?
Yaqeen nahi aap aisa nahi kar saktay Youtube team creators ke application ka approval kabhi bhi jald bazi main nahi krti . Youtube mukamal itminan k bad hi creators ko aprovel deta hai . sometimes aik channel ko multiple reviews say guzarna par sakta hai jis ka saaf matlb hai, sometimes apko aprovel layne main kuch dair lag sakti hai .
Aapko paise kamane ke liye active rehna hoga.
Jaisa keh Youtube partner program grow kr raha hai , To Youtube channel ko maintain karne aur healthy ecosystems ko barqarar rakhna zaruri hai. active creators ko support karne ke liye youtube inactive accounts ko jo 6 month yaa is say ziada irsay tak koi videos upload nahi karte ki monetization ko disable krne ka haq rakhta hai.
Youtube partner program k hawale se Aksar pochay jane wale sawaal
agar main program ki requirements ko pora nahi karta to kiya hoga ?
"Valid public watch hours'' ka kya matalab hai ?
agar main requirement per pora utarta hoon to kiya main automatically YPP main join ho jayn ga ?
agar apply krne k bad mare subscribe ya watch time drop ho jata hai to kya hoga ?
agar main ne pehle se hi youtube partner program k liye apply kiya ho to kya hoga ?
Agar main nay youtube partner program ke liye apply nahi kia yaa mara channel kabhi is programe say linked tha hi nahi to kia mari videos par chalne wale ads say main acha revenue hasil kr sakta hoon ?
Kia main apane videos par ads dekh kr un ads say paisay kama sakta hoon ?
AdSense k aik account per kiya hum bahot say youtube channel ya websites bana sakte hain ?
Please Give the feedback about this article
Comments