- Get link
- Other Apps
Saal 2021 Cryptocurrency ke liye bahot kamiyab raha, qimat mein kami bashi ke bawajood majmoi tur per Crypto Currencies ki qimat main rawan saal ke aghaz say ab tak taqreeban 70% ka izafa huwa.
Crypto Currencies ki qimat main betahasha izafe say Crypto ki pori market ki majmoi maliyat 2 trillion dollars say bhi tajawaz kar chuki hai.
Duniya ke bashtar countries main Crypto ko darpesh regularity masail aur qimatoon mein bohat ziyada utar charhao ki waja say bitcoin per say bohat se investor ke hosale paast huwe, laikan taman tar mushkilat ke bawajood yeh saal bitcoin ke liye behtreen saal raha.
2021 mein dakhil rawan Saal ke phle hafte hi bitcoin ki qimat 41 hazar say zayed par pahonch gai, tahum qimaton mein izafe ka tasalsul Sirf 3 din hi barqarar raha aur 11 January ko iski qadr 26% kami ke bad 33 hazar dollars fe coin par pahonch gai.
8 February ko Tesla aur SpaceX Ke bani Elon Musk ne bitcoin mein investment karne ka ilan kiya, jis ke bad iski qadar 44 Hazar 200 dollars say bhi Zayed par pahunch gai. Bitcoin aur digher bari digital currencies ki qimat mein berhotari ka silsala 14 April tak jari raha.
16 February ko bitcoin ki qimat tareekh ki buland tareen satha 50 hazar dollars per pahonch gai.
10 April ko Crypto Currencies ki buying & selling karne wali company Coin Base nay Ilan kiya keh wo stork market mein shares ki farokht ke liye taiyaar hain.
Us din bitcoin nay aik aur record qayem karte huwe 60 hazar dollars Fe coin ki satah par pahonch gaya. Iske 4 din bad hi bitcoin ki qadr 64 Hazar 800 dollars Fe coin tak pahonch gayi.
Aik raat mein invester ke Billions rupay doob gay
Bitcoin aur digher bari Crypto currencies ki qadar mein izafe ka silsala 19 May tak jari raha , but Tesla ki janib say tamam bitcoin ko farokht karne aur Chinese Government ki janib say Crypto currencies mein kaam karne wale afraad ke khilaf bare paimane per hone wale Crackdown nay Sirf aik din mein bitcoin mein investments karne wale afraad ko arsh se farsh par pahoncha diya.
Kai maah ke utar charhao ke bad September ke aghaz mein bitcoin 50 hazar ke satha per bahaal huwa, 17 October ko bitcoin nay 62 Hazar 600 dollars ki nafsiyati had aboor ki. 20 October ko bitcoin 66 hazar 974 dollars per pahonch gaiya jab keh November mein Bitcoin ne 69 hazar dollars ki nafsiyati had bhi par kar li aur ab taqreeban 30% kami ke bad 50 hazar dollars say kam par trade ho raha hai.
Stock market mein listing
This year 14 April ko Cryptocurrencies ki buying & selling karne wali company Coinbase ne stock market mein apna indiraz karwaya.
Is ki Market value listing hote hi 100 Billion dollars se upper chali gai jis ne British Petroleum jaisi Bari company ko bhi pichay chor diya.
Listing ke Pehle din share market mein coinbase ke share ki qimat 328 dollar Fe share ke sath close huwi, jab keh next day isay 381 dollars Fe share ke hisab se open kiya gaya aur yeah 429 dollars 54St. Ki buland tareen sathaa par pahunch gayi.
Duniya bhar ke 100 say zayed countries ke log 2012 se coinbase ko Bitcoin, Ethereum and other digital Crypto Currencies ki trading ke liye use kar rahe hain.
Revenue mein baytihasha izafa
Duniya bhar mein last year ke awal akhir mein Bitcoin, Ethereum, aur other digital currencies ki value mein hone wale izafa ne coinbase ki amdani ko kai 100 % tak increase kar diya
Coin base ne 2021 ke first Three months mein 1.8 Billion dollars ka khalis profits kamaya jo keh 2020 ke total profits se bhi kai guna ziyada hai.
Tesla ka Payments ke liye Bitcoin layne ka ilan
March mein Tesla ke CEO Elon Musk ne apni tweets mein duniya ki sabse makbool aur bari Crypto currency ko qabool karne ka ilan kiya. Jis ko bad buyer bitcoin ki madad say tesla car ko buy karna ke Ahil honge, tahum yeah sahulat Sirf American citizens ke liye faraham ki gai thi.
Elon Musk ka kahna tha keh hum dusare country kay cities ke liye bitcoin ke through tesla car ki kharidari mumkin banane ke liye kaam kar rahe hain.
Elon Musk ki iss tweet ke bad bitcoin ki value nihayat tayzee say barhi. Tahum 2 month baad hi Elon Musk nay aik aur tweet mein maholiyati tahafuz aur Regulatory reasons ki bina per payments ke liye bitcoin wasool karne say inkar kar diya.
Cryptocurrencies ke liye 2022 Kaisa sabit hoga?
Cryptocurrency ki market par nazar rakhne aur bitcoin ki value ke bare mein payshgoi karne wale Analysts ka kahna hai keh 2022 bitcoin ke Crash hone ka saal hai.
Experts ka kahna hai keh "In the coming months" Bitcoin ki value mein bahut barri kami hogi jis ke asraat deegar digital currencies per bhi murattab honge.
Wall Street ke Analysts ka iss bare mein Kehna hai keh Cryptocurrency lamhon mein aasman se zameen par aur zameen se aasman par Jane wali Variable currency hai.
Mustaqbil mein iss ki qadar mein mazeed 20% tak ki kammi motwake hai laikin bitcoin ki waja shohrat hi iss ka Adam istehkam hai.
University of Sussex ki Finance Professor Carol Alexander ka Kehna hai keh 2022 mein bitcoin ki value nihayat kam ho kar 10 hazar dollars Fe coin tak pahunch jaye gi aur guzashta dayrh saal mein iss ka kamaya gaiya Sara munafa Virtually ghayab ho jaye ga.
Carroll ka Kehna hai keh agar mein issko sarmaya kari ki nazar say think karn to muje 2022 mein bitcoin crash hota nazar a raha hai. Qiyon keh iss saal ki koi buniyad nahi hai aur issay investments mein aik khilone ki tarah istemal kiya ja raha hai.
unhon ne kaha keh tareekh khud ko doharati hai. 2018 mein bitcoin 20 hazar dollars ki satah par pahunch kar kuch months mein 3 hazar tak ghir gaiya tha.
Union Bank kay Chief Equity Strategist Todd LowenstonTodd Lowenston ka Kehna hai keh bitcoin ke price chart per nazar dali jaye to iss mein kai bubbles dikhai dete hain.
conclusion :-
Crypto currency ko support dayne wale afraad iss baare mein kehte hain keh uss waqt cheezain mukhtalif thi ab iss market mein bare bare Institution investments ke liye taiyar hai. But I think 2022 mein bitcoin and other Crypto Currencies ke Crash hone ka saal hai.
Comments